Aap logo ne Australia ke ballebaj Steve Smith ki ballebaji dekhi ki nahi kal? Khair dekhi to maine bhi nahi bas scorecard dekha hai. Bande ne achha khela aur sab jagah se bande ko wah waahi mil rahi hai. Kal ye na maarta to fir Australia ka haal bura ho jaata lekin kal achha khela aur apni team ko jeet tak to pahucha diya hai lekin jeetegi ki nahi abhi pata nahi kyo ki England abhi batting kar hi raha hai.
Smith ka kaarnama dekhiye.
Iss bande ne 219 gend me 144 run banaye hai jo ki kam nahi hai. Puri team ne mil kar 284 run banaaye hai jisme aadha bhaagidaari smith ka hi raha hai. Ye banda mujhe sahi lagta hai yaar bas wo gend se ched chaad kar baitha na usi me isne bahut se fans kho diye aur bahut jaleel bhi hona pada. Ab ye banda aisa kabhi nahi karega lekin aisa karna hi nahi chahye tha.
Dusre khiladi bane ye karnama karne waale.
Aap ko sayad maloom nahi smith ne kul mila kar 24 century lagayi hai sirf test match me aur dusre sab se tez khiladi ban gaye hai ye mukaam hasil karne waale. Pahla kaun hai aap log jaante hi honge. Nahi jaante ho kya? Chaliye main batata hoon.
Pahle khiladi Don Bradman hai jo ki Australia se hi hai. Bahut bada ballebaaj mana jaata hai inko aur inke karnaame bhi aise hi hai. Aap ko pata hai 24 satak lagaane me Don bhaiyya ko sirf 66 paari hi lagi thi jab ki smith ko 118 paari lag gayi. Tisre number par humare hi desh ka ballebaaj hai. Aap ko pata hai kaun hai wo ? Are wo koi aur nahi apna kaptaan virat kohli hai jisne 123 match me 24 satak lagaaye hai.
Ek samay tha jab Smith sanyaas lena chahte they.
Aap ko to pata hai smith ko ban kar diya gaya tha ball se ched chaad ke maamle me aur sirf itna hi nahi bahut bezzati bhi kar rahe they log. Ye to hona hi tha bhai australia team ka kaptan hai ye aur aisi harkat karega to saja to milegi hi na. Lekin ab bande ko apne kiye par pachtawa hai.
Smith ne kaha ki jab unko ban kar diya gaya tha tab wo soch rahe they ki ab cricket se sanyaas le le lekin fir unhone aisa nahi kiya aur ban pura karne ke baad fir se khelne lage. Baaki hum dekh hi rahe hai wo kaisa khel rahe hai lekin ab isko kaptan se hata diya hai aur mujhe nahi lagta ki kabhi isko fir se kaptan banaya jaayega.