Humare desh me logo ko Kerala ki chinta nahi hai balki Navjot Singh Sidhu Pakistan kyo gaye iss baat ki jyada chinta hai. Sab unko ab desh drohi bol rahe hai are yaar waha wo thodi na humare desh ka secret batane chale gaye they. Ab Imran Khan ke sapath samaroh me gaye they to kya hua gaye to jaane do lekin yaha to ghamasan macha rakha hai.
BJP waalo ko bahut fikar hai ki wo Pakistan kyo gaye aur abhi Haryana ke jaane kon minister ho wo bhi Sidhu ki alochna kar rahe hai. Unko bhi bahut problem hai Sidhu Pakistan chale gaye to ab aap hi batao kya Modi ji pakistan nahi gaye hai.
Ek baar to wo bhi raato raat Pakistan gaye they aur Nawaz Sharif se mil ke aaye they unko gale bhi lagaya tha mujhe achhe se yaad hai. Modi ji jaa sakte hai agar Sidhu ji chale gaye to logo ko problem hone lagi.
Aisa kyo bhai? Achhi baat hai na new PM bane waha ke ho sakta hai India aur Pakistan ke jo haalat hai wo ab sudhar jaaye. Ho sakta hai dono dushman country ke beech dosti ho jaaye. Ho sakta hai pakistan ke naye prime minister achhe aadmi ho aur dono desho ko milaane ki koshish kare.
Isliye bhaaiyo faltu me Siddhu ji ko target kar ke koi faayda nahi hai. Waha wo chale gaye to humare desh ka koi apmaan nahi ho gaya agar chale gaye hai to jaane dijiye wo aa bhi jaayenge.