Bhaaiyo aaj cricket ki baat nahi karenge aaj hum film ki baat karenge. Aap log film dekhte ho ki nahi main to kabhi kabhi dekh leta hoon. Jab koi achhi film milti hai to dekh leta hoon lekin main theatre nahi jaata hoon. Pichle saal koi bhi film dekhne nahi gaya tha main aur iss saal kewal URI dekhne gaya tha uske baad ab tak koi film nahi dekhi ab soch raha hoon hollywood ki avenger dekhne jaaunga.
Achha aaj main ek film dekha jiss ka naam hai andhadhun. Aap logo ne ye film dekha hai ki nahi dekha hai? Iss me ayushman hai aur radhika apte hai aur iss ke alawa tabu bhi hai. Sab ne kaha ye film bahut achhi hai to fir main socha chalo kyo na iss ko dekha jaaye.
Mujhe kamaal ki lagi ye film. Sach me bahut hi mast laga. Aap logo ne nahi dekha hai to main aap se kahunga ki jarur iss film ko dekhe. Google me search kare katmovie waha ek pahle website aayega uss me jaaye aur fir waha search box me andhadhun search kare aap ko waha mil jaayega ye film aur hd me milega aap logo ne nahi dekha to jarur dekhe.
India me nahi chala.
Ji haan bhaaiyo ye film bharat me flop ho gaya. Humare desh me badhiya filmo ki kadar hi nahi hai yaha bas faltu ke action aur naach gaane waali filme dekhne jaate hai log yahi wajah hai ki main theatre me jaa ke apne paise nuksaan na karta hoon. Ghar me hi dekhta hoon jab tv par mil jaata hai tab. Aur sabhi filme nahi dekhta jiss film ke baare me achha sunta hoon wahi dekhta hoon.
China me mast kamayi kar rahi.
Aap ko pata hai ye film china me 237 crore kama chuki hai aur bharat me sayad 15-20 crore hi kama paayi thi. China waalo ko sahi film dekhne ki puri anubhao hai wo faltu filme nahi dekhte hai. Bharat ki kayi filme waha release ho chuki hai jiss me se dangal ne sab se jyada ki kamayi ki thi aur uske baad secret superstar aur fir uske baad salman khan ki film bajrangi bhai jaan aur fir uske baad irrfan khan ki film hindi medium ne waha mast kamayi ki.
Ab andhadhun achha kamayi kar rahi hai. Mujhe to pakka pata tha ye film bahut achha chalegi aur chal bhi rahi hai. Bhale hi humare desh me naa chali ho lekin China waalo ko film dekhne ki samajh achhi hai. Humare desh me to bas hero ke naam se filme chalti hai.