Friends almaari me kuch paise rakhe huye they dekho rats ne kiya haal kar diya yaar. Bahut jyada chuhe ho gaye hai yaar mere ghar me. Sala bahut nushke apna chuka hoon lekin bhaagte nahi hai aur chuha marne waali dawaayi laata hoon to saale ghar me hi mar jaate hai aur milte bhi nahi hai ki kidhar mare pade hai. Isliye dawa nahi dete hai yaar.
Bahut pareshaan karte hai yaar aur idhar udhar saale ghumte rahte hai. Waise kapde wagera kabhi na kaata lekin paper wagera kaat dete hai aur iss baar saalo ne paise hi kutar diye yaar. Mujhe to bada gussa aaya lekin ab kar bhi kya sakte hai.
Ab aap batao ye note exchange honge kiya ek dost ne kaha hai ki SBI bank chale jaana waha ho sakta hai exchange kar de. Aap ko kya lagta hai exchange karenge ki nahi? kyo ki maine kabhi aisa note jama nahi kiya hai aur saale bank waale to likha hua note bhi nahi lete hai aur jyada purana note rahe matlab phata type ka to na lete hai iss ko kaise lenge yaar. Koi idea hai to comment me batana jarur bhai.