Ramzan main muslman Allah ki raza k liye roza rakhte hain aur poora din Allah ki kushnoodi k liye bhooka aur piyasa rahte hain aur Maghrib k waqt Roza iftaar karte hain Roza iftaar kar k Allah ka shukar ada karte hain k us ne Razman jaisa barkat wala mahina phr hum ko naseeb kia waise to log iftaar main apni pasand ki cheez khana pasand karte hain lekin iftaar pakoray k beghair adhuri samajhi jaati hai aur log bohat shoq se pkaoray khana pasand karte hain
Pakistan main log iftaar main pakoray samosa cutlus chips khana bhi pasand karte hain Pakoray beesan k saath banaye jaate hain aur beesan main hari mirch palak aloo aur masala daal kar mix kar k fry kia jata hai aur pakoray ko ketchup aur raita k saath khaney k liye peesh kia jata hai aur log bohat shooq se pakoray iftaari main khana pasand karte hain