Pakistan main pkaoray bohat ziada pasand aur khaye jaate hain aur Ramzan main Pakoray k beghair iftaari ko namukamal samajha jata hai Pakoray besaan k saath banaye jaate hain aur pakoray k liye besaan main hari mirch hara dhanya palak aur masala daale jaate hain in sab cheezon ko mix kar k in ko oil main fry kia jata hai aur jab ye brown color k ho jaye to in ko oil se nikal kar raita aur ketchup k saath khaney k liye peesh kia jata hai Pakoray bohat hi mazeedar hote hain aur agar pakoray ghar main bane hue ho to in ka maza hi apna hai pakistan main barish main bhi pakoray khaney ko pasand kia jata hai aur bache bhi bohat shoq se pakoray khana pasand karte hain pakoray har ghar main banaye jaate hain aur baazar main bhi araam se pakoray khaney ko mil jaate hain