Log kehte hain .. sach kadva hota hai .. kintu sach to humesha se hi Shivamaya tha .. Shiv hi sabse sunder satya hai iss jeevan mein aur chir kaal tak rahega .. Ram naam hi Satya hai aur rahega .. agar manushya ko apne jeevan ka satya acchi tarah gyat hai .. usko apne dayityo ka gyan hai .. ishwar mein uski astha hai .. dusro se irshya nahi hai .. jo jeevan mein accha hua usko bhagwan ki kripa manta hai .. Aur jo bura hua usko uske dush karma ka pashchatap .. to wo jeevan mein Satya ke marg pe hai .. Sukhi aur Santoshi hai .. aur Ishwar ko priye bhi hai !! Om Namah Shivay !!