▪Aap hain be-gunaah kya kehna,
▪Kya safaai hai waah kya kehna.
▪Uss se haal-e-tabaah kya kehna,
▪Jo kahe sun ke waah kya kehna.
▪Hashr mein ye unhen nayi soojhi
▪Ban gaye daad-khwaah kya kehna.
▪Ghair par lutf-e-khaas ka izhaar,
▪Mujh se tedhi nigaah kya kehna.
▪Ghair se maang kar suboot-e-wafa,
▪Ban gaye khud gawaah kya kehna.
▪Un gunon par najaat ki ummeed,
▪‘Bekhud’-e-ru-siyaah kya kehna.. !!