Hello,
Dosto mai apko ek adhbut pratima ke bare me batane ja raha hu jo ki hamre hi area me sthit h. ha dosto mai bat kar raha hu bhagwan maha mritunjay( shiv ji) ki jinki ek matra murti pure vishwa me keval rewa kile me hi payi jati h. jo ki 1001 chidro wali h. jiske darshan matra se hi sabhi prakar ke kasto ka nas ho jata h shukh samridhi ka agaman ho jata h. isae ek kahani judi hui h sawan ke mahine me hi samundra manthan hua tha tab bhagwan shiv ne vish se bhara pyala pi liya aur neelkanth ban gay the. unki garmi ko sant karane ke liye unka abhishek kiya jata h. thandak evam sabhi kasto ka niwaran karne wale chandra unke sar par rahte h isiliy somwar ko unki puja karne se avam abhishek se sabhi kasto ka niwaran ho jata h. is prakar se sabhi prakar ki manokamna bhi puri ho jati h.