Ramazan aik barkaton wala mahina hai aur is mahina main tamam dunya k muslman Allah ki raza k liye roza rakhte hain aur Allah ki ata ki hui sab nahmaton ka shukar ada karte hain Tamam dunya main log Fajar ki namaz se phale Khana khaate hain aur Roza rakhte hain Fajar k waqt khana khaney ko Sehri kahte hain aur Sehri karne k baad sab muslman maghrib k waqt tak beghair kuch khaye aur piye Allah ki raza k liye roza rakhte hain
kal dosto ne Sehri akhate karne ka program banaya aur hum sab dost akhate ho kar aik restaurant chale gaye jahan hum sab ne apni marzi ki Sehri ki restuarant main dahi anda omelet bread roti qeema murgh kheer raita salad custard aur bhi se dishes thi hum sab dosto ne achi tarah sehri ki kio k khana bohat hi mazedaar tha