Hello Dosto, tenancy act ka 4 post kar chuka hoon main aur ab ye mera 5th post hai. Iss se pahle ke post me maine aapko bahut kuch bataya hai umeed hai aapne usko padha hoga. Aur dosto agar ab tak nahi padha hai to jarur padh le wo padhenge tab hi ye samajh aayega. Chaliye ab aage ke baare me batata hoon main aapko.
Makaan khaali nahi kara sakta maalik.
Dosto jo rent agreement banta hai na jab tak uska samay khatam na ho jaaye tab tak makaan ka maalik apne kiraydaar ko ghar se nahi nikaal sakta hai. Agar kiraydaar ne lagatar kayi mahine tak rent na diya ho ya fir us makaan ka wo galat tarike se upyog kar raha ho. Tab makaan maalik ghar khaali karwa sakta hai.
Aur agar agreement ka samay khatam ho gaya ho aur kiraydaar khaali na kar raha ho tab makaan maalik kiraya doguna kar sakta hai.
Dosto ye sab jaruri baate hai har kisi ko jaan ni chahye isliye maine aapko ye jaankari di hai. Iss se related maine aur bhi kayi jankaari di hai aap niche ke link me click kar ke wo padh sakte hai.