Maine aap ko bataya tha na ki main Vijayawada gaya tha apne cousin ke kaam ki wajah se. Uski waha pe job lagi hai to uske saath hi pahla din waha gaya hua tha main usko waha thik se set karne ke liye. To hum isi doraan Undavalli Caves gaye they waha ki kuch photos bhi dikhaayi thi maine aap aaj fir se main waha ki kuch photo dikhaaunga main aap ko. Kmaal ki jagah thi aap photo dekh sakte hai sab achha hai.
Yaha par kuch ghante baithe they hum thoda time pass kiya aur aas paas ka photo liya. Aap photo dekh sakte hai ye jagah achhi hai aur tourist place bhi hai yaha bahut se tourist mil jaayenge aap ko. Aur jaisa ki maine bataya Hindi yaha nahi chalega aur kisi ko bhi Hindi nahi aati hai isliye bolne ki koshish bhi mat karna warna koi samjhega hi nahi.
Waise yaar India ki matr bhasa Hindi hai lekin yaha par 50% log bhi Hindi nahi bolte hai. Sab state ki apni alag bhasa hai batao yaar itna sara bhasa akhir banaya kiss ne hoga. Itne sara bhasa hai sirf apne desh me ki pucho mat. Baaki ke bhi country hai lekin unke yaha itna bhasa nahi hai jitne ke humare desh me bhasaaye hai. Khair aap comment kar ke jarur batana ki aap ko photo kaisi lagi hai.