Dasht main payas bujhatay hooy mar jatay hain
Hum parinday kahein jatay hooy mar jatay hain
Hum hain sookhay hooy talab pay baithay hooy hans
Jo taluq ko nibhatay hooy mar jatay hain
Ghar puhunchta hai koi aur hamaray jesa
Hum teray shehur say jatay hooy mar jatay hain
Unkay bhy qatal ka ilzam hamaray sar hai
Jo hamain zahar pilatay hooy mar jatay hain
Yeh muhabat ke kahani nehein marty laikin
Loag kirdar nibhatay hooy mar jatay hain
Hum hain wo toty hooi kashteeyon walay Tabish
Jo kinaron ko milatay hooy mar jatay hain