Go k mayn baher se khana khata he rehta hon lakin yeh baat sach hai k ghar k khanay ki kya he baat hai. Meri iss baat se woh log fori taur pe ittefaq kar jayengy jinhon ne ghar se door pardes main zindagi ka kuch hissa guzara hai. Ghar ki murghi ko bhi lughat ne daal braber keh dia hai so issi liye mayn daal khanay Punjab University Lahore pohanch gaya. Wahan Manzoor k hotel ka yeh khana...ab mayn kya tareef karon isski...khud he tasweerain dekh k andaza lga lo...kam az kam 3 rotiyan aur 2 glass pani pi gaya tha mayn. Apka bhi chakkar kabhi Punjab University main lagay tou Manzoor k hotel ka daura zaroor karain.
Tadkay Wali Daal
Qourma +Daal+Rotiyan
Raita
Moonh main pani tou nahi agaya dosto? Chalo ajaye tou pi lena.
Mujhe ab ijazat dayn.
Love you all!